➤ Join pak army as Civil.
Pak army ko as a civil join krny k 4 treeqy hy .
( A ) join as junior commission officer ( khateeb ).
( B ) civil clerk .
( C ) join as civil trade man .
( D ) join as N C B ( non combatant bearer ).
( E ) sweeper ( sanitary worker ) .
( F ) mess waiter .
( G ) Gardner ( Mali ) .
( H ) Boot maker .
( A ) Join As Junior Commission Officer ( Khateeb ).
Pak army my as a junior commission bharti khateeb k lihaz sy hoti hy jis my us ki duty sirf masjid my namaz prhana hota hy chahy zamana aman ho ya jang usy na to uniform authorize hoti hy aur na wo pehnta hy .
Junior khateeb k liy require drj zail hoti hy .
( 1 ) Document .
( 2 ) physical .
( 3 ) Medical .
( 1 ) Documents .
Naib khateeb ya J C O ( junior commission officer ) bharti hony k liy jawan ki age minimum 20 year aur maximum agr 28 year hoti hy . aur is k sath iska hafiz-E-Quran hona lazmi hota hy .
Us k sath iska dini madrasa sy dars-e-nizami hona lazmi hy jo k higher education commission sy manzoor shuda ho .
Is k sath uski qualification minimum F A ya is k equal hona lazmi hy .
Roz mara umoor k mutaliq arbi bol chal my muharat rkhta hona chahiy .
( 2 ) Physical .
Junior khateeb k liy Jawan ka physical k lihaz sy fit hona lazmi hota hy is liy naib khateeb ka kisi bhi physically problem hona selection k na hony k chance zayada kr skta hy .
( 3 ) Medical .
Khateeb ka medical bilkul usi noiyat ka kia jata hy jesy aik soldier ka hota hy is liy is ka physical k ilawa kisi bhi medical problem na hona chahiy .
( B ) Civil clerk .
Civil clerk bharti hony k 2 treeqy hoty hy jo darj zail hy .
( 1 ) L D C ( lower division clerk ) .
( 2 ) U D C ( Upper division clerk ) .
(1 ) L D C ( lower division clerk ) .
Documents .
L D C ( lower division clerk ) bharti hony k liy qualification metric hona lazmi hota hy . is k sath jawan k pass agr computer ka diploma ho to usy zayada tarjeeh di jati hy .
Is k sath iski typing speed 30 word per minute hona bhi zaroori hota hy .
Age .
LDC k liy age ki limit 18 year sy 30 year tk hoti hy .
Isky sath uska medically aur physically fit hona bhi lazmi hy .
( 2 ) U D C ( Upper division clerk ) .
U D C ( Upper division clerk ) ki jagah py apply krny k liy qualification km az km inter ( F A ) ya is k equal hona lazmi hota hy . is k sath diploma holder ko priority di jati hy .
Age .
UDC k liy age km az km 18 year aur zayada sy zyada 30 year hoti hy .
Isky sath uska medically aur physically fit hona bhi lazmi hy .
( C ) Join as civil trade man .
Army my as a civil trade man mukhtas time aur qota k lihaz sy bharti kia jata hy jo k har admi aik khas kaam my muharat rakhta hota hy aur usy us kaam k liy bharti kia jata hy .
( D ) N C B ( Non combatant bearer ).
N C B ( Non combatant bearer ) pak army my har aik officer k sath hota hy jo k us officer k liy personal kam krta hy personal sy murad wo sir officer k hi kam krta hy aur uski family k sath hota hy jo k officer k sat usky saman wghyra ly k jata hy aik N C B officer k sath as a driver bhi kam krta hy uski uniform tayar krna usky khany k intzam krna aur as a runner kam krna k liy N C B ko bharti kia jata hy .
N C B k liy age ki limit minimum 18 year aur maximum 35 year hoti hy aur agr kisi retire mulazim ko is jgah bharti hona ho t us k liy maximum age 50 year hoti hy .
Is k liy education primary require hoti hy .
Physically aur medically fit jawan ko hi bharti kia jata hy aur ye phr retire hony tk aik officer k sath lhi duty kr skta hy .
( E ) Sweeper ( sanitary worker ) .
Army my as a sweeper zyada tr esai logo ko kia jata hy aur ye sirf safai k ilwa koi aur duty nahi krty .
Sanitary worker k liy age ki limit minimum 18 year aur maximum age limit 30 year hoti hy .
Jawan ka mamooli prha likha hona lazmi hota hy .
Aur apny kaam my muharat hasil hona chahiy hota hy .
Physically aur medically fit bandy ko bharti kia jata hy .
( F ) Mess waiter .
Army my mess waiter bharti hony k liy jawan ki qualification km az km primary hona lazmi hy aur age ki limit minimum 18 year aur maximum 30 year hoti hy .
Ye BPS 1 k hisab sy bharti kiy jaty hy .
( G ) Gardner ( Mali ) .
Mali k tor pr bharti k liy bhi jawan ko physically fit hona lazmi hy aur iski qualification minimum middle class hona lazmi hy .
Age ki limit k lihaz sy minimum 18 year aur maximum 25 year hona lazmi hota hy .
Is k bhi proper tor pr test hoty hy phr inki bharti ki jati hy .
( H ) Boot maker .
As a boot maker jawan ko kaam ka aan lazmi hota hy .
Is k sath sath kmaz km middle class tk prha hona lazmi hy .
Medically aur physically fit ho .
Age ki limit 18 year sy 25 year tk hoti hy .
More information of PAK ARMY.
Pakistan Para Military Forces.