➤ Pakistan Armed force Rank.
Armed forces k rank ko compare krny k liy Pakistan Armed forces ko janna lazmi hy is system my Pakistan ki 3 force hy Jo k Armed forces hy.
Pakistan Armed forces.
1. Pak Army.
2. Pak Navy.
3. Pakistan Air force.
Pakistan Army , Navy aur air force k junior ranks hoo ya officer rank in my scale aur BPS ka difference nahi hota.
Details of ranks.
1. Sep , Sailor and Air Craftman.
In ranks my Sep ka rank Army aur Sailor ka rank Pak Navy aur Air Craftman ka rank PAF ka hota hy. In ka scale aur BPS aik hi hota hy aur BPS (Basic Pay Scale) 6 hy.
2. L/Naik , Sailor rate I , Junior Technician.
In my sy Lance naik army ka , Sailor rate II aur Junior technician PAF ka rank hy inka BPS 7 hota hy aur ye Junior Ranks my sy 2nd rank hy.
3. Naik , Leading , Corporal technician.
Ye rank NCO rank hoty hy Jo k (Non commissioned officer) hy in ka BPS 8 hota hy jo k NCO rank my phla rank hy.
4. Havildar , Petty Officer , Senior Technician.
Army my Havildar ka BPS 9 hota hy aur isi trh Navy my Petty Officer aur Air force my Senior Technician hota hy ye NCO rank my 2nd aur aakhri rank hy.
5. Naib Subedar , Chief petty officer , Assistant Warrant Officer.
Ye rank JCO (Junior commission officer) rank hoty hy Jin ki Salute authorize hota hy inka scale aur BPS 11 hota hy.
6. Subedar , Fleet Chief petty officer , Warrant Officer.
JCO rank my ye 2nd rank hy Jo k 14 scale ya BPS ka hota hy.
7. Subedar Major , Master Chief petty officer , Chief Warrant Officer.
Ye rank wo rank Jo junior ranks my last hy in ranks ka BPS 16 hota hy in my Army k SM ko uski service k hisab sy Capt tk bhi Promotion dya jata hy lykin ye boht km logoo ko milta hy.