➤ Pakistan Ranger rank and BPS.
Pakistan Ranger my ranks aik Sep sy start hoty hy aur Jo inky apny department k ranks hy wo aik Battalion ya wing k commander tk hoty hy aur is sy above tamam rank army sy hoty hy .
Phly is force k bhi civil armed force hony ki wja sy sirf DSR ( Deputy Superintendent of Rangers) tk rank hoty thy lykin abhi in k ranks ko brha kr Lieutenant colonel (Lt Col ) tk kr diy gy thy .
Detail of Pakistan Ranger ranks.
Ser. Rank. BPS.
1. Sep. 6
2. Lance naik 7
3. Naik. 8
4. Havildar. 9
5. Sub inspector. 11
6. Inspector. 14
7. DSR. 17
8. SR. 18
9. SSR. 19
Duties of these ranks.
1. Sep,lance naik
Pak ranger k law k mutabiq Sep or lance naik as a soldier duty krty hy jis my uny apny senior command ki trf sy order ko follow krna hota hy.
2.Naik , Havildar.
Ranger my army ki trh naik aur havildar NCO ki duty krta hy. Jis my kuch jawan inhy under command dya jaty hy aur in ko duty ko poora krna hota hy .
Havildar k rank ko doosri duty bhi di jaati hy jis my BHM (Battalion havildar major), BQMH (Battalion quarter Havildar Major) aur CHM (Company Havildar Major) Jesi duties shamil hy. Ye duties koi rank ni ye sirf appointment hoti hy Jo aik just duty hoti hy .
3. Sub inspector , Inspector.
Ranger my sub inspector Army k Naib Subedar ki duty krta hy jis my uska scale aur rank dono army k equal hoty hy. Jis trh aik Naib Subedar aik company py command krta hy usi trh aik sub inspector bhi duty krta hy .
Inspector aik army k Subedar k brabr hota hy aur is ki duties my company ki command ya special duties hoti hy . Is ka rank aur scale bhi Subedar k equal hota hy.
In my senior inspector ko SM ki duty bhi di jati hy .
In ranks ko ranger my as a second Lieutenant aur Lieutenant k Tor pr duties k liy bhi mamoor kia jata hy.
4. DSR (Deputy Superintendent of Rangers).
Army my aik Capt aur Ranger my DSR aik hi rank aur duty krty hy DSR as a Capt duties krta hy .
5. SR (superintendent of Rangers).
SR ki duty my aik Major ki duty shamil hy Q k Army ka major aur Ranger ka SR aik hi rank aur scale k hoty hy
6. SSR (senior superintendent of Rangers).
Jesy aik battalion ki command k liy aik. Lt colonel hota hy isi trh rangers my aik battalion ki duty k liy SSR ko ye duty di jati hy Jo battalion ko smbhalta hy aur is ki management ka zimadar hota hy .
Colonel , Brigadier and Major General
Ranger my SSR sy above rank k officer is force k apny officers nhi hoty ye officer army k hoty hy jiny is force my post kia jata hy jin my army k colonel , Brigadier general aur Major General hoty hy . Is Force ki over all command aik Major General krta hy Jo k 2 star ⭐⭐ hota hy jo k DG (Director General) k Tor pr duty krta hy.
Ranger k rank aur army k ranks my koi frq ni sirf ranger my inky name change hoty hy aur duties aik Jesi hoti hy.